Kanz e Aza

Jab Zehr ka Imame

A noha for Imam Hassan (a.s), written by Hilal. Lyrics in Roman Urdu.

jab zehr ka imame hassan par asar hua

khoone jigar se daaware didar batar hua


jodha tujhe imam pa dhaate huwe sitam

khaufe khuda hua na zamane ka darr hua

jab zehr ka imame...


aankhon se ashk behne lage kaayenat ki

aalam ghame imam mein zer o zabr hua

jab zehr ka imame...


farshe zameen pa baith ke rone lage hussain

bhai ke saath ek safar muqtasar hua

jab zehr ka imame...


larza thi qabr haye nabi o batool ki

dunya se jab imame hassan ka safar hua

jab zehr ka imame...


barse hai teer haye janaze pe aap ke

ye ek aur taaza sitam aap par hua

jab zehr ka imame...


tukde gire hilal bahattar jo tasht mein

aaghaz e karbala se jahan ba-khabar hua

jab zehr ka imame...