Kanz e Aza

Karbala chalo, karbala chalo

A noha for Imam Hassan (a.s) (2020). Lyrics in Roman Urdu.

Karbala chalo, karbala chalo, karbala chalo


karbala karbala karbala..(2)


Allahumm-ar-zuqna ziyarat al hussain..(2)

Karbala chalo... karbala chalo..(4)

Karbala chalo... karbala chalo..(4)

Karbala chalo... karbala chalo, karbala chalo..(2)


Lo aagaya bulawa..(2)

mazloom e karbala ka...

1. Maa muntazir hai bete ke ghumkhaar aayenge

aakar mere Hussain a.s pe aasu bahaenge


Bint e rasool takti hai..(2)

tum sabka raasta.... karbala chalo....

2. Zahra (s.a) ka laal qabr mein hasrat ye le gaya

Akbar(a.s) ka kalma goyo ne pursa nhi diya


ab sheh ko pursa dena hai..(2)

kadiyal jawaan ka.... karbala chalo....

3. Jee bhar ke apne bhai ko zainab(s.a) na ro saki

majlis zameen e karbobala par na ho saki


armaan e sayyeda mein..(2)

bichad e safe azaa.... karbala chalo....

4. Khanjar tale Hussain(a.s) ki aahein gawaah hai

halmin mugheesuna ki sadaein gawaah hai


kab se hume bulata hai..(2)

Zahra(s.a) ka laadla.... karbala chalo....

5. Jis khaak ne chupaya tha bint e Ali ka sar

jisne kafan banaya tha laash e Hussain(a.s) par


us karbala ki khaak ka..(2)

karne ko shukriyaa.... karbala chalo....

6. Baazu katake jis jagah Abbas(a.s) so gaye

armaan bawafa ke jaha'n dafn hogaye


aasu waha girayenge..(2)

paani jaha'n gira.... karbala chalo....

7. Qismat se waqt aayega jab ye hayaat mein

tum apne betiyo'n ko bhi le jaana saath mein


Akbar(a.s) ko wo sunayengi..(2)

sughra(s.a) ka marsiya.... karbala chalo....

8. Ek saal baad bhai ka sar jis ghadi mila

Abid(a.s) se roke kehti thi ye binte sayyeda


dafnaungi mai hatho'n se..(2)

sar apne bhai ka.... karbala chalo....

9. Chehlum bhi apne baap ka bachhi na kar saki

roti hui wo shaam ke zindaa'n mein marr gayi


ae kaash koi kehde Sakina(s.a) se ye zara


karbala chalo....


Labbaik, Labbaik, Labbaik Ya Hussain..(2)

Halabikum ya zawwari, halabikum

abad wallah ya zahra ma ninsa hussaina

10. Is saal arbaeen pe aisa ho ehtemaam

ae kaash zaero'n mein ho shamil hamara naam aur de hamein bhi hazrat e abbas ye sadaa


karbala chalo....


11. Ghurbat musafiron'n ki musafir samajh sakein

kaise chali thi bibiya'n andaza ho humein

aasu bahate shehr e najaf se piyada paa


karbala chalo....


12. Chehlum pe jaise aati hai Zainab(s.a) bhi shaam se

izn e safar mile jo takallum imaam se

har ek qadam zahoor ki karte hue dua


karbala chalo....

Allahumm-ar-zuqna ziyarat al hussain

Karbala chalo, karbala chalo, karbala chalo