Karte hai momin buka aye Hassane Mujtaba, Haal hai sabka bura aye Hassane Mujtaba.
Laash se lipti huwi kehti hai Binte Ali, Haye mai tumpar fida aye Hassane Mujtaba.
Muh se nahi bolte aankh nahi kholte, Ghar me hai mehshar bapa aye Hassane Mujtaba.
Dost hai sab beqarar rote hai ab zaar zaar, Kehke yehi jabaja aye Hassane Mujtaba.
The woh shaqi kya sharir mare janaze pe teer, Laash pe bhi ki jafa aye Hassane Mujtaba.
Zainabe qasta jigar roti hai sar peet kar, Muh se toh bolo zara aye Hassane Mujtaba.
Tumpe na aaya taras kuch na kiya pesh o pas, Zeher diya beqata aye Hassane Mujtaba.
'Zakhmi' dil qasta ab ranj se hai ja balab, Hai yehi iski sada aye Hassane Mujtaba...