Kanz e Aza

karti thi zainab bayaa'n bhai hassan mar gaye

A noha for Imam Hassan (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

karti thi zainab bayaa'n bhai hassan mar gaye kyu na ho mehshar ayaa'n bhai hassan mar gaye

ho gayi ham par jafa zehr dagha se diya

qoo'n hua mu se rawaa'n bhai hassan mar gaye

peet'te hai sar hussain dil ko ho kis tarah chain


baba hai na ammajaa'n bhai hassan mar gaye

sar pe na hyder rahe aur na payambar rahe

sab gaye sooe jina bhai hassan mar gaye

teer lagaane ko ab bhai ke taboot par


baithe hai sab bad gumaa'n bhai hassan mar gaye

qasime ghuncha dahan rota hai wo kam suqan

usse karu kya bayaa'n bhai hassan mar gaye

ashk bahaati hu mai qaak udaati hu mai


karti hu aaho fugha'n bhai hassan mar gaye