karwaan jo berida tha karbala se shaam tak
aayaton ka khaafila tha karbala se shaam tak
dard mein dooba hua rona bilakna dekh kar
yaad mein asghar ki bano ka tadapna dekh kar
saara kunba ro raha tha karbala se shaam tak
karwaan jo berida tha...
aag seene mein lagati thi jo yaade naujawan
girya e laila se hilti thi zameen o aasman
aur labon par marsiya tha karbala se shaam tak
karwaan jo berida tha...
hogayi thi itrat e aale payambar berida
dil mera kehta hai shayad is liye abbas ka
sar na naize par ruka tha karbala se shaam tak
karwaan jo berida tha...
saare qaime jal chuke thay ab koi qaima na tha
dhoop ki shiddat thi raste mein koi saaya na tha
aur suraj ro raha tha karbala se shaam tak
karwaan jo berida tha...
sayliyan khaati rahi yaade pidar mein har nafas
dukhtare shabbir par aaya na zaalim ko taras
bas tamache maarta tha karbala se shaam tak
karwaan jo berida tha...
rassiyon mein thay sabhi jakde huwe ahle haram
sabr ki raahon mein ye phir bhi rahe saabit qadam
har ghadi shukr e khuda tha karbala se shaam tak
karwaan jo berida tha...
manzil e kohe safa se aaj bhi ahle aza
karbala ki bibiyon se poochti hai haajera
zabt e gham kaise kiya tha karbala se shaam tak
karwaan jo berida tha...
wo hussain ibne ali wo dilbar e zehra najaf
tha usi ke qatl ho jaane ka charcha har taraf
aur wo quran pad raha tha karbala se shaam tak
karwaan jo berida tha...