Kanz e Aza

Ummat ne Baade

A salaam written by Ali Naqvi Najaf. Lyrics in Roman Urdu.

ummat ne baad e ahmed e musrsal ye kya kiya

be-khuaf unki beti ke ghar ko jala diya


barsaya teer jis ke janaze pe barmala

qabr e nabi ke pehlu se us ko hata diya

ummat ne baade ahmede...


aaram gaah e maadar e abbas bhi hai yan

jis ne khuda wafaon ka ban kar dikha diya

ummat ne baade ahmede...


sajjad natawan bhi hai zehra ki paas dafn

bazaar e shaam may jise dar dar phira diya

ummat ne baade ahmede...


ek qabr imam jafar e sadiq bhi hai yahan

jis ne usool e deen may elaaahi panaah diya

ummat ne baade ahmede...


pehlu bhi hai shikasta mera aur qabr bhi

ummat ne ye bhi baad e nabi zulm dha diya

ummat ne baade ahmede...


hum ko bhi ab sukoon bhala kya milega jab

aaram gaah e fatema zehra ko dha diya

ummat ne baade ahmede...


mehdi hi aake turbat e zehra banayenge

ummat ne aaj binte nabi ko bhula diya

ummat ne baade ahmede...


tera kalaam gham may hai dooba hua najaf

jis ne to sang dil ko bhi aakhar rula diya

ummat ne baade ahmede...