Ye keh rahe hai aaj bhi naale furaat ke
pyaase rahe khareedne waale furaat ke
Garmi thi karbala ke bayabaa'n me is qadar
khud pad gaye the seene me chaale furaat ke
zainab ka tha bayaa'n abhi kamsin hai mere laal
kardena tashnagi ko hawaale furaat ke
ab taaba hashr hoga na paani kisi pa band
khulwa diye hussain ne taale furaat ke
abbas apni qabr banaakar labe furaat
armaan tum ne qoob nikaale furaat ke
saqqaaye ahlebait ki raaho me ae 'sarosh'
Aankhe bicha rahe the ujaale furaat ke