ye kehta hua doob gaya subho ka taara
aaj uth gaya dunya se ghareebon ka sahara
kufe mein ye ghul hai ke zamane se sidhara
bewaon ka nigehban yateemon ka sahara
ye kehta hua...
chaayi hai udaasi dar o deewar e haram par
dooba hai wo emaan ka pur noor sitara
ye kehta hua...
mayyat pe hassan aur hussain ka ye bayan tha
baba nahi dunya mein to phir kaun hamara
ye kehta hua...
ye shaan to dekhe koi allah ke ghar se
allah ke ghar jaata hai allah ka pyara
ye kehta hua...
uneeswi ki subho qayamat se nahi kam
haye sar e hyder hua sajde mein do paara
ye kehta hua...
zainab ne kaha phir mujhe ek baar dikha do
ab laut ke aayenge nahi baba dobara
ye kehta hua...
afsos ke khud doob gaya apne lahoo mein
wo jisne ke islam ki kashti ko ubhaara
ye kehta hua...
sharib na rahe iske liye phir koi mushkil
jis ne dam e mushkil mere maula ko pukara
ye kehta hua...