Kanz e Aza

Ali ki Madhaa Kartha Hoon Yehi Ek Kaam Baaqi Hai

A salaam for Imam Ali (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

Ali ki madhaa kartha hoon yehi ek kaam baaqi hai

Isi ki wajha sey duniya mai mera naam baaqi hai


Zameen jab takh hai jab takh charq neeli faam baaqi hai

Fazaa mai fatema ki jaan ka paighaam baaqi hai


Ali ke saath haq hai aur Ali bhi saath hai haq ke

Khuda ka naam hai jab takh Ali ka naam baaqi hai


Hazaaroun ke galay kaatay Ali ki teigh ney leykin

Abhi bachchey ki turbath khoudhnay ka kaam baaqi hai


Mohammad-e-mustafa ki aal aur darbaar mai jaaye

Yazeed ab takh teri gardhan pa yeh ilzaam baaqi hai


Supurdh-e-khaak karna hai abhi zindaan mai bachchi ko

Ilaahi ghamzadaa Zainab ka yeh bhi kaam baaqi hai


Ali-e-murtuza aaye na teri zindagi main gar

Sayeed ithnaa na ghabraa nazaa ka hungaam baaqi hai