Kanz e Aza

Ay Paalne Waale

A salaam for Shehzadi Sakina (s.a), written by Danish. Lyrics in Roman Urdu.

ay paalne waale ay paalne waale

ay paalne waale mujhe baba se milaade


jab baba sakina ke na maidan se laute

us waqt sakina ne kaha dasht may roke

hai koi jo baba ko mere aaj bachaale

ay paalne waale...


din bhar meri aankhon ne yehi dekha hai manzar

jo bhi gaya maidan may aaya na palat kar

baba hai idhar tanha udhar shaam ka lashkar

ay paalne waale...


din dhal gaya raat aagayi aur chaaya andhera

har dil may hai bas zulm o jafa khauf ka saaya

kya hone ko hai ye soch ke dil darta hai mera

ay paalne waale...


pani jo gaye lene chacha jaan hamare

neendh aagayi unko bhi taraai ke kinare

pardes may jee paaungi mai kiske sahare

ay paalne waale...


seene pe mujhe baba ke chain aata hai so kar

is ban may unhe haye kahan dhoondun mai jaa kar

bin baap ke ab neendh mujhe aayegi kyun kar

ay paalne waale...


ek baar mere baba mujhe aake pukare

aagosh may ay kaash mujhe aake sulaade

ab lamhon may sab dard unhe apna batade

ay paalne waale...


daanish suye maidan hi takti thi sakina

baba ki judaai may tadapti thi sakina

bas haaton ko phailake ye kehti thi sakina

ay paalne waale...