Boli maa kya huva Sakina ko
Ghash yeh kyun aagaya Sakina ko
Kyun yeh khaamosh hogayee aakhir
Kisney kya kehdiya Sakina ko
Kya khabar isko kya huva beta
Dekho Abid zaraa Sakina ko
Haaye ghurbath mein chheen kar mujhse
Legayi kyun qazaa Sakina ko
Na shikaayat hai ab tamaachoun ki
Na rasan ka gilaa Sakina ko
Saath hi ab sayeed kay milkar
Royein ahle-aza Sakina ko