Kanz e Aza

Boli Zainab Utho Imdad Ko Aao Abbas

A salaam for Moula Abbas (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

Boli Zainab utho imdad ko aao Abbas

Zibha hota hae mera bhayi Abbas


Sar toh shah ka ab sajdae qaliq mein jhuka

Haath se shumr ke qanjar ko chudao Abbas


Ab Sakina pah yateemi ka sitam toot gaya

Ab taras khao kaleje se lagao Abbas


Aag qaimon mein lagane chale aae hain adoo

Ghash mein hae abede beemar jagao Abbas


Jo ridah hazrate zehra ki thi mere sar par

Woh ridah shumr ne cheene hae dilao Abbas


Laashe besar se hae lipti hui nanhi bachhi

Aao nadaan Sakina ko chudao Abbas


Mere baazu mein rasan baandhta hae shumre shaqi

Is azeeyat se behan ko toh bachao Abbas


Saath ghurbat mein yateemon ko na chodo bhaiya

Main bulaati hoon mere paas toh aao Abbas


Hone tasheer chali jaati hae nashaad behan

Fouje aada ko jalal apna dikhao Abbas


Tumse karti hoon sifaarish yehi Hyder ke liye

Apne qadmon mein jagah usko dilao Abbas