Ek musaafir qaid hai beemaar hai
kaarwaane sabr ka saalaar hai
Tegh syed ke gale par chal gayi, chaadare binte ali bhi jal gayi
Aur phir shaame ghareeba'n dhal gayi, ab kahan abbas pehredaar hai
kaarwaane sabr ka saalaar hai
gulshane qaatoone jannat ki kali, kaarzaare shaam me paidal chali
kis tarah mu ko chupae binte ali, kab mayassar saayae deewaar hai
kaarwaane sabr ka saalaar hai
raaste hai shaam ke kaanto bhare, aable hai paao me kaise chale
zaqm taaza hai mere sajjad ke, jeena ab beemaar ka dushwaar hai
kaarwaane sabr ka saalaar hai
baap ke ghame sakina mar gayi, khaake zaalim ke tamaache dil jali
qaid me karte hai sab nouha gari, sog me dooba hua ghamqaar hai
kaarwaane sabr ka saalaar hai