Kanz e Aza

Gham zada saara ghar hai zainab ka

A salaam. Lyrics in Roman Urdu.

Ghamzada saara ghar hai Zainab ka,

Aqri yeh safar hai Zainab ka.


Peeto sar belche ki zarbat se,

Aqri yeh safar hai Zainab ka.


Roti hai aake apne Bhai ko,

Har azakhana ghar hai Zainab ka.


Hain Rasule Khuda barehna sar,

Berida jab se sar hai Zainab ka.


Haal sunte hi ashk behte hai,

Tazkera gham ashar hai Zainab ka.


Har qadam par nayi musibat hai,

Berida haye sar hai Zainab ka.


Lene aati hai bhai ka pursa,

Majliso me guzar hai Zainab ka.


Beto'n ki laash pe kiya sajda,

Ya Ali kya jigar hai Zainab ka.


Yeh azadaro'n ka juloos 'Hassan',

Lashkare haq nagar hai Zainab ka...