Hai aale nabi me shore buka dunya se uthi umme kulsoom
maatam karo barpa ahle aza dunya se uthi umme kulsoom
darbaar me jisko jaana pada cheeni gayi jiske sar se rida
seh seh ke masaaeb wo dukhya dunya se uthi umme kulsoom
jo bhai ko apne roti rahi mu ashko se apna dhoti rahi
ek pal bhi na jisko chain mila dunya se uthi umme kulsoom
bhai pa fida karne ke lie qaaliq ne jise bete na die
abbas bane jiska fidya dunya se uthi umme kulsoom
masroof rahi sheh ke gham me din jis ne guzaare maatam me
padhti rahi har dam jo nouha dunya se uthi umme kulsoom
tha noke sina par bhai ka sar , sar par nahi thi jiske chaadar
kyu'n kar na kare us par girya dunya se uthi umme kulsoom
masroofe buka din raat rahi zainab ke jo har dam saath rahi
jo roti rahi bhai pa sada dunya se uthi umme kulsoom