Kanz e Aza

Hai Rukhsath ki Ghadi Aye Karbala Waalo Khuda Hafez

A salaam for Widaye Ayyam e Aza. Lyrics in Roman Urdu.

Hai rukhsath ki ghadi aye Karbala waalo khuda hafez

Salaam-e-aakhri aye Karbala waalo khuda hafez


Na humsey ho sakaaa kuch bhi adaa haq meizbaani ka

Hai yeh sharmindaghi aye Karbala waalo khuda hafez


Tumhaarey saath zehra bhi yahaan tashreef laathi thi

Yeh izzath bhi milee aye Karbala waalo khuda hafez


Hamaarey ghar ki raunaq bhi tumhaarey saath jaathi hai

Udaasi chaa gayi aye Karbala waalo khuda hafez


Kuch aansoo aankh mai kuch daagh hain maatam ke

Seenay par

Hai nazraana yehi aye Karbala waalo khuda hafez


Tumhaarey gham main rothay rothay marjaatey tho accha

Tha

Yeh hasrath reh gayee aye Karbala waalo khuda hafez


Pahoonch kar waanh sayeed-e-zaar ko bhi yaad karleina

Hai maarooza yehi aye Karbala waalo khuda hafez