Is qoum ke rone ko yahi baat badi hai
Zahra bhare darbaar me haq maang rahi hai
uth uth ke qaak udhaati hai jo ban me
shaayad Ali asghar ko behen dhoond rahi hai
taa der tadapte rahe tazeem ko laashe
ye koun zayeefa hai jo maqtal me khadi hai
barchi ali akbar tere seene me gadi hai
par chot to zainab ke kaleje pe padi hai
sajjad to qamosh hai baazaar me lekin
zanjeer ki ek ek kadi bol rahi hai
taareeq zara saans ko roke hue rakhna
imraan ki ghairat sue darbaar chali hai