kaunsa ranj tha jo sheh se uthaya na gaya
par koi shikwa zaba'n par kabhi laaya na gaya
chaaha akbar ne ke dekhe na pidar zakhme jigar
khoon is josh se ubhla ke chupaaya na gaya
kaunsa ranj tha....
hogaye mitke fana khud hi mitaane waale
haa magar matame shabbir mitaaya na gaya
kaunsa ranj tha....
khaali jhoola kabhi bhoole se jhula deti thi maa
jhoolna jhoole me asghar ka bhulaaya na gaya
kaunsa ranj tha....
boli maa laashae akbar ki balayei'n lekar
tumko naushah mere laal banaya na gaya
kaunsa ranj tha....
tukde tukde tha badan farq tha paara paara
shah se laasha-e abbas uthaya na gaya
kaunsa ranj tha....
poocha jab bano ne kya hogaya mera asghar
sheh ka sar jhuk gaya kuch mu se sunaaya na gaya
kaunsa ranj tha....
jis tarha syede sajjad ko pahunchi eeza
koi bemaar bhi is tarha sataaya na gaya
kaunsa ranj tha....
rehgaya ab bhi isi baat ka gham dil me 'nisar'
rauza shabbir ka aankho'n se lagaaya na gaya
kaunsa ranj tha....