Kanz e Aza

kehti thi yahi zainab dukhya mere

A salaam. Lyrics in Roman Urdu.

kehti thi yahi zainab dukhya, mere beeran waa mujra lo mera

kuch baat karo mai tum pa fida , mere beeran waa mujra lo mera


mai kookh jali maajaai hu'n, hamsheer tumhaari bhai hu'n

zindaa'n se chut kar aai hu'n, mere beeran waa mujra lo mera


nikli thi watan se jab mai aqi, tum saath the aur kunba tha sabhi

ab koi nahi tanha hu'n chali, mere beeran waa mujra lo mera


akber bhi nahi abbas nahi, Qasim sa bhateeja paas nahi

ab mujh ko kisi ki aas nahi, mere beeran waa mujra lo mera


Zindaa'n me gayi darbaar gayi, Sar nange sare baazaar gayi

Bin tere zaleelo qaar gayi, mere beeran waa mujra lo mera


Pooche gi agar mujh se soughra, hai baap phupi kis jaa mera

kya us se kahu'n bolo bhayya, mere beeran waa mujra lo mera