Khoon me tar qamar hai Muslim ke
Zere Qanjar pisar hai Muslim ke
Uth gaya sar se baap ka saaya
Darbadar ab pisar hai Muslim ke
Inka pursa nehaal koi nahi
ye jo noore nazar hai Muslim ke
gardano se lahu ubalta hai
qoon me tar pisar hai muslim ke
Sar dikhaakar ye kehta hai zalim
dono laqte jigar hai muslim ke
laashe darya me beh gaye jinke
Haaye dono pisar hai muslim ke
Aye zafar peeto sar ke dono laal
Qoon me tar batar hai muslim ke