Kanz e Aza

Misaale Badr Joh Haasil Huva Kamaal Mujhe

A salaam. Lyrics in Roman Urdu.

Misaale badr joh haasil huva kamaal mujhe

Ghata ghata ke falak ne kiya hilaal mujhe


Teri madad ka faqath ya Ali bharosa hai

Kisi ki aas nahin waqte inteqaal mujhe


Kareem joh tujhe dena ho betalab dedey

Faqeer hoon pa nahin haajate sawaal mujhe


Kisi ke saamne kyon jaake haath phailaaoon

Mera kareem jo deytah hai bay sawaal mujhe


Hussain kehtey thay pushtay faras se girtah hoon

Madad ka waqt hai ae bekasi sambhaal mujhe


Hussain kehtey thay parwardigaar rahiyo gawaah

Ke qatl kartey hain naahaq yeh badh qisaal mujhe


Andheri qabr mein mushkil Anees ko hai bohath

Dikhaadoh ya Ali ab chaand sa jamaal muhjhe