Mujrayi qahate aab bhi tha aur ghiza na thi
par behawaas jung me fouje quda na thi
mujrayi kya ghazab hai kisi ko haya na thi
balwe me ahlebait me sar par rida na thi
lekar ridae'n naariyo ne ghar jala diya
bewo ke waaste kahi'n chupne ko jaa'n na thi
sookhi zaba'n dikhaane pe zaalim ne maara tha
banu ke sheerqaar ki ya rab qata na thi
zainab se boli fatima kuch yaad to karo
kis dukh me kis jagah mai shareeke buka na thi
chod aayi mere bache ko jungle me be kafan
qaabil kafan ke lash musaafir ke kya na thi
zainab ne arz ki ke mai dafnaati kis tarah
amma khuda gawah ke sar par rida na thi