Kanz e Aza

Pahunche Yeh Nazm Yoon Shahe Zeeshaan ke Saamne

A salaam. Lyrics in Roman Urdu.

Pahunche yeh nazm yoon shahe zeeshaan ke saamne

Jis tarha paaye more sulemaan ke saamne


Har dum Sakina laathi thi taskeen ke waastey

Khaali katoray asghare naadaan ke saamne


Rokar behen se kehtey thay hazrat yeh rozey qatl

Hum zibha hongay asr ko amma ke saamne


Zibhe hilaal mein toh yeh hukme-rasool ho

Haiwaan ka khoon bahao na haiwaan ke saamne


Wa hasratha ke fatema sar peet thi rahi

Pyaase Hussain zibha huve maa ke saamne


Rakhley uthakey sar pah adab sey yeh chahiyeh

Mousuf jab aaye saahebe imaan ke saamne


Neechey sarey Hussain ho aur taqth par yazeed

Phailaaye paoun baitha ho quraan ke saamne


Khooli se shimr kehta tha ley jah sar-e-Hussain

Rakh kar sinaa pah zainabe zeeshaan ke saamne