Pyaso se zyada door na tha behte hue darya ka pani
na kaamiye qismat kya kahiye paaya na magar khatra pani
pyase jo rahe chaubees pehar loo dhoop me yu sookha pani
roye to lahoo aaya behkar aankho me na tha khatra pani
pyaso se zyada....
asghar ne badi umeedo'n se moo khola magar lab tar na hue
bache ke liye allah allah tha jaan se bhi mehenga pani
pyaso se zyada....
waada jo kiya tha maadar se wo aun o mohammed karke rahe
behta tha barabar me darya mud kar na magar dekha pani
pyaso se zyada....
pyaso ke muqaddar me hi na tha pani ka koi kahtra shayad
abbas ne de di jaan magar qaime me nahi pahuncha pani
pyaso se zyada....
ashoor ko jalti reti par pyasa tha mohammed ka dilbar
har roz qayamat tak bhi agar kya fayeda barsa pani
pyaso se zyada....
abbas ke honto ke chaale kehte hai imame bekas se
qabze me tha ghazi ke darya lekin na piya khatra pani
pyaso se zyada....
kuch is se zyada ho na saka majboor tha darya kya karta
pani ke liye tadpe asghar, asghar ke liye tadpa pani
pyaso se zyada....
pathar ke jigar bhi aab hue maqtal me nisar aada roye
honton pe phira kar apni zabaa'n besheer ne jab maanga pani
pyaso se zyada....