Kanz e Aza

Qaafela Sheh ka Salaami Lab-e-Darya Uthraa

A salaam. Lyrics in Roman Urdu.

Qaafela sheh ka salaami lab-e-darya uthraa

Par muqaddar mai na ek paani ka qathra uthraa


Karbala ka jo kisi shaher mai naqsha uthraa

Mujrayee boli zameen arsh-e-moalla uthraa.


Imtihaan ki jo taraazu mai qazaaney tholaa

Hur wafaadari-e-shabbir mai poora uthraa


Sajda-e-haq sey nabi ney na utthaaya sar ko

Pushth-e-aqdas sey na jab takh ke nawaasa uthraa


Fouj manzil pay utarthi toh Sakina kehthi

Saahibo dekho kidhar hai mera baba uthraa


Aaya jab takh na madiney mai sar-e-ibney ziyaad

Sogh naamoos-e-nabi mai na kisi ka uthraa


Sogh Zainab ney bhi hazrath ka uthaara yaaro

Par na jannath mai siyaa jaama-e-zehra uthraa


Bano kehthi thi ke kisi roz pehnaaya afsous

Khoon mai bharkay meray bachchey ka kurta uthraa