Kanz e Aza

Rasane Zulm Mein Nanhi Si Kalaayi Hogi

A salaam. Lyrics in Roman Urdu.

Rasane zulm mein nanhi si kalaayi hogi

Mujraee kaise Sakina ko kalaayi hogi


Naujawan ne joh sinaa seene pah khaayi hogi

Mujraee qaime se Zainab nikal aayi hogi


Shabe Ashoor yeh aati thi sada-e zehra

Subah ko mere bhare ghar ki safaayi hogi


Bibiyan kehti thi yeh raat ghanimat jano

Kal toh ek jaan pah lakhon ki chadhaayi hogi


Kya uthe hoenge Zainab ke jigar se sholay

Aah jab masnade shabbir jalaayi hogi


Naatawan dekh ke Abid ko yeh bole raah geer

Haaye kisne useh zanjeer pinhaayi hogi