Salaami har taraf shore buka hai
vidaae hazrate mushkilkusha hai
tazazzul masjide koofa me hai aaj
sutoone kaaba e eemaa'n gira hai
Ali ibne abitaalib mera sher
abhi talwaar se zaqmi hua hai
kisi ne juz ali qaatil ko apne
dame iftaar bhi sharbat diya hai
Ali aisa saqi tha waa dareghaa
gala shabbir ka pyaasa kata hai
pakad kar ibne muljim ko jo laaye
kaha as'haab ne ab hukm kya hai
bashafaqat poocha qaatil se Ali ne
qata meri hai ya teri qata hai
kiya bin baap ka bacho'n ko mere
yahi ehsaan ka mere sila hai