salaami jisne dare baaghe panjetan dekha
usi ne rouzae rizwaan ka chaman dekha
salaami ran ke jo band'de ne pairahan dekha
Qaba ki teh me lapeta hua kafan dekha
kaha adu ne basaarat kidhar gayi hai imaam
mili na laash pisar ki tammaam ran dekha
jawaan bete ki mayyat na tum ne pehchaani
ye kis ka naize pa sar hai ye kiska sar dekha
kaha yazeed ne poshaak isko pehnaado
phata hua jo sakina ka pairahan dekha
kaha ke qaak me mil jaaungi na pehnoongi
Pidar ke murde ko jungle me be kafan dekha