Kanz e Aza

Salaami Suvey Maqtal Syed-e-Abraar Aathay Hain

A salaam. Lyrics in Roman Urdu.

Salaami suvey maqtal syed-e-abraar aathay hain

Hathailee par dharey sar khalq ke sardaar aathay hain


Hamaarey khwaab mai jab syed-e-abraar aathay hain

Mubaarak baad denay taala-e-beydaar aathay hain


Jigar mai dard lab par aah aansoo dono aankhoun mai

Baday saamaan sey hazrath ke maatamdaar aathay hain


Khayaal shah-e-waala mai dil-e-muztar yeh kehtha hai

Utt aey dard-e-jigar taazeem ko sarkaar aathay hain


Sawaari hai yeh Akbar ki kay qudrath ka namoona hai

Shabaahath keh rahi hai ahmad-e-mukhtaar aathay hain


Baday faiyaaz hain yeh ronay waaley bhi ke majlis mai

Jab aathay hain lutaaney gowhar-e-shehwaar aathay hain


Abhi khaimey se nikley bhi na thay ghul machgayaa run mai

Alambardaar aathay hain alambardaar aathay hain


Andheri raat mai banu yehi keh-keh ke rothi thi

Kay Akbar yaad teray chaand sey rukhsaar aathay hain


Gadhaa hoon mai darey sheh ka yeh suntha hoon ke aye Asif

Meray sartaaj rakhney ko meray sarkaar aathay hain.