Sar peeto karo maatam barpa, duniya se uthi umme kulsoom
Hai aale nabi me shoro buka duniya se uthi umme kulsoom
Jo bhai ko apne roti thi, muh ashkou se apna dhoti thi
Ek pal bhi na jisko chain mila
Duniya se uthi umme kulsoom
Bhai pe fida karne ke liye, qaaliq ne jise bete na diye
Abbas bane jiska fidya
Duniya se uthi umme kulsoom
Cheeni gayi jiske sar se rida, darbaar me jisko jaana pada
Seh seh ke masaaeb wo dukhya
Duniya se uthi umme kulsoom
Masroof rahi sheh ke gham me, din jisne guzaare maatam me
Padhti rahi har dam jo nouha
Duniya se uthi umme kulsoom
Tha noke sina par bhai ka sar, sar par nahi thi jiske chaadar
Kyu kar na kare us par girya
Duniya se uthi umme kulsoom
Masroof e buka din raat rahi, zainab ke jo har dam sath rahi
Jo roti rahi bhai ko sada
Duniya se uthi umme kulsoom
Sar peet te hai sab aale nabi, jo ghar ki muhafiz thi na rahi
Rote hai hassan sab ehle aza
Duniya se uthi umme kulsoom