Kanz e Aza

shabeehe imaame zamaa'n khainchte hai

A salaam. Lyrics in Roman Urdu.

shabeehe imaame zamaa'n khainchte hai

tasawwur me tasweere jaa'n khainchte hai


Jagah mol li hai mazaaro'n ki qaatir

shahe dee'n zamee'n par nishaa'n khainchte hai


ajab haal hai dukhtare fatima ka

rida sar se eeza rasaa'n khainchte hai


kahaa'n paaye abid kahaa'n dohri bedi

ye langar kahee'n naatawaa'n khainchte hai


kaha roke akbar ne ae dard tham ja

ke seene se baba sina khainchte hai


pukaari sakina dohaayi hai baba

sitamgar meri baaliyaa'n khainchte hai