Kanz e Aza

Sughra (s.a) Salaam Aakhri Lelo Hussain (a.s) ka

A salaam for Imam Hussain (a.s) (2023). Lyrics in Roman Urdu.

Rukhsat har ek bibi se jab ho chuke Hussain

Maqtal ke simt jaane lage shahe mashreqain

Dekha suey Madina to shabir ne kaha

Sughra, meri sughra, haye sughra


Sughra salaam aakhri lelo Hussain ka


Akbar ki laash sughra mei tanha utha chuka

Khat bhi tumhara laash pe uski sunna chuka

Noor e nazar jo tha mera duniya se jaa chuka

Dil usska haye noke sinna hi mei reh gaya


Sughra tumhara chaand sa bhai besheer khwaar

Wo jiske muskurane se tumko bohot tha pyaar

Wo muskuraya teer galle se huwa jo paar

Zibha wo meri gowd mei mera pisar huwa


Abbas ke alam pe tarapti hain bibiyaa

Ab tak lahoo hain usske katte haath se rawaa

Dariya pe usski laash tarapti hain mei yahaa

Abbas mera sher sa bhai nahi raha


Dekhi na tumne haye Sakina ki bebasi

Maqtal ke simt jab ke sawaari meri barhi

Aansoo bahaate saath sawaari ke wo challi

Hai Karbala se Shaam talak usski qatlgaa


Ek shab ki biyahi bewaa tumhari behan huwi

Qasim ki laash ghatri mein mei ne uthaayi thi

Ghatri se khoon behta raha pusht pe meri

Tukro mei usski laash ke kangna tha khoon bhara


Sab ghum mei dil pe le chuka laashe utha chuka

Lekin nahi hay dum mere sinne mei ba khudda

Barchi pe kaise dekhunga Zainab ki mei rida

Noke sinna pe royega kat ke bhi sar mera


Maqtal mei aake bole samar shah e zi waqar

Eh meri laadli mei chala suey kirde gaar

Gar ho sake tho karna na ab mera intezaar

Ujra Madina saj gayi laasho se Karbala


Sughra salaam aakhri lelo Hussain ka