Kanz e Aza

Ek Baar aur Mujhe

A salaam for Imam Hussain (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

ek baar aur mujhe godh may le lo baba


wa hussaina ka hua shor haram may barpa

ho ke ruqsat jo chale ghar se shahe karbobala

kehke ye daudi sakina ke teher jao zara

ek baar aur mujhe...


sheh ne bachi ka jo ye haal pareshan dekha

roke farmaya ke kya haal meri mahelekha

jod kar nanhe se haathon ko sakina ne kaha

ek baar aur mujhe...


sochti hoo ke tamache koi maare na mere

goshware koi kaano se uthare na mere

wehm aate hai mere dil may na jaane kya kya

ek baar aur mujhe...


baba seene se sakina ko lagate jao

ab kahan hogi mulaqaat batate jao

tumko akbar ki qasam ghuncha dahan ka sadqa

ek baar aur mujhe...


ab mai pyasi hoo na pani ki zaroorat hai mujhe

koi haajat nahi bas itni si hasrat hai mujhe

dekhloo phir se jee bhar ke tumhara chehra

ek baar aur mujhe...