Ek beemaar se ae mujrayi sab ghar choota
Baap maa choote behen chooti baraadar choota
Sheh se aye mujrayi abbase dilawar choota
pad gaya ghul ke baraadar se baraadar choota
bole sheh hum sa na hoga koi awaara watan
qabr naana ki chuti shehr chuta ghar choota
yaad bete bhala bhoolti banu kyu'n kar
baad athara baras ke ali akber choota
deke abbas ko maida'n ki riza sheh ne kaha
baad muddat ke tera saath baraadar choota
jab sakina ne suna mar gaye darya pe chacha
yaas paani se hui haath se saaghar choota