Kanz e Aza

Farshe Aza Pe Aao

A salaam written by Ali Naqvi Najaf. Lyrics in Roman Urdu.

farshe aza pe aao sar ko jhuka jhuka ke

zehra ko pursa dena aansu baha baha ke


imran ne bachayi is shaan se nabuwat

bistar pe mustafa ke bete sula sula ke

farshe aza pe aao...


sughra ke khat ke andar bas ye likha hua tha

zinda hoo baba khaali jhoola jhula jhula ke

farshe aza pe aao...


shabbir kehte jaate abbas mere bhaiya

maqtal se bawafa ke shaane utha utha ke

farshe aza pe aao...


jalti hui zameen par pani kahan se laate

tar kar di qabre asghar aansu baha baha ke

farshe aza pe aao...


ruqsat to kar diya tha kadiyal jawan ko lekin

mud mud ke maa ne dekha parda utha utha ke

farshe aza pe aao...


marne ke waaste jab ran ko chale thay sarwar

ruqsat kiya haram ne halqa bana bana ke

farshe aza pe aao...


chupte thay qaimon qaimon bache shahe huda ke

aur has rahe thay zaalim qaime jala jala ke

farshe aza pe aao...


ye kam nahi aakhir mazloomi e sakina

zaalim jo phaynte thay pani dikha dikha ke

farshe aza pe aao...


abid bhi ye najaf jab rote hai khoon ke aansu

pursa do khoon apna tum bhi baha baha ke

farshe aza pe aao...