karbobala may kaisa ye manzar zainab ne dekha
sar bhai ka zer e khanjar zainab ne dekha
nanhe mujahid ka laasha jab ran se laaye hussain
teer e sitam ka zakhm galay par zainab ne dekha
karbobala may kaisa...
khoon may nahaye aun o mohamed qatl huwe abbas
lut'ta hua apna hi bhara ghar zainab ne dekha
karbobala may kaisa...
apne jigar par barchi khaayi gaysuon waale ne
khoon may dooba laasha e akbar zainab ne dekha
karbobala may kaisa...
ibne hassan ke laashe par daudaye gaye ghode
tukde hua jab qasim e muztar zainab ne dekha
karbobala may kaisa...
jis ko rasool allah hamesha chooma karte thay
chalte huwe us halq pe khanjar zainab ne dekha
karbobala may kaisa...
boondhe cheene shimr e layeen ne kaan huwe zakhmi
lut'ta hua masooma ke gowhar zainab ne dekha
karbobala may kaisa...
daaman us bachi ne najaf jab qaid may phailaya
kaise aaya godh may ek sar zainab ne dekha
karbobala may kaisa...