karbobala may shaam hui
suraj nikla tha yasrab may
doobte suraj ki ye ziya hai
jo dunya may aam hui
karbobala may shaam...
haq kya hai baatil kya hai
ye karbobala batlayegi
kis ka naam hai ab tak
aur kis ki hasti gumnaam hui
karbobala may shaam...
zainab se poocho kyun kar
din guzra tha ashoore ka
subha hui to kya manzar tha
kis aalam may shaam hui
karbobala may shaam...
akbar ka sehra dekhein
asghar ki jawani bhi dekhein
har wo maa har ek tamanna
bano ki nakaam hui
karbobala may shaam...
sar de kar raahe haq may
naize pe tilawat farmayi
baade qatle sibte payambar
meraaj e islam hui
karbobala may shaam...
abid ne raahe kufa may
wo azm o himmat dikhlayi
paon se zanjeer lipat kar
dard se har har gaam hui
karbobala may shaam...