kaun hai jo imdad ko aaye
saani e zahra kisko bulaye
ghash meni pade sajjad e muztar
jalte hai qaime chinti hai chadar
kaun bhala ab aake bachaye
saani e zahra kisko bulaye
kaun hai jo imdad...
qalb ki raahat aankhon ke taare
aun o mohamed ran ko sidhare
bekas ki dunya lut gayi haye
saani e zahra kisko bulaye
kaun hai jo imdad...
charon taraf aghiyar ki mehfil
sakht ghadi dushwar hai manzil
des paraya log paraye
saani e zahra kisko bulaye
kaun hai jo imdad...
ay mere asghar hasliyon waale
kaise phupi ab dil ko sambhale
dhal gayi shaam aur tum bhi na aaye
saani e zahra kisko bulaye
kaun hai jo imdad...
zainabe muztar shaam e ghariban
khaak pe baithi baal pareshan
gham ki hai dhoop aur dard ke saaye
saani e zahra kisko bulaye
kaun hai jo imdad...
ek rasan mein baara galay hai
chote bade sab qaidi bane hai
kaun inhe aafat se chudaye
saani e zahra kisko bulaye
kaun hai jo imdad...
aake watan se door safar mein
sab kuch luta hai ek dopahar mein
dushman pe bhi ye waqt na aaye
saani e zahra kisko bulaye
kaun hai jo imdad...
kaise ho ab parde ki hifazat
jiske bharose li thi zamanat
nehr pe usne shaane kataye
saani e zahra kisko bulaye
kaun hai jo imdad...
aun o mohamed qasim e muztar
soye huwe hai abbas o akbar
ab to hame jo chaahe sataye
saani e zahra kisko bulaye
kaun hai jo imdad...
jab ho mayassar mausam aza ka
dard mein dooba zainab ka nauha
likhe bilal aur aamir sunaye
saani e zahra kisko bulaye
kaun hai jo imdad...