mere raaj dulaare qasim
haye qasim haye qasim
farwa ke labon par maqtal mein
thay dard ke naare qasim
hai chashme falak purnam purnam
hai arsh pe bhi tera matam
rote hai teri pamaali par
ye chand sitaare qasim
haye qasim mere raaj...
pardes mein phirte hai dar dar
ghurbat ki ghatayein hai sar par
ab kaun hame pahunchaye watan
jab tum hi sidhaare qasim
haye qasim mere raaj...
tum mujhse juda yun hote ho
kyun khaak pe bikhre sote ho
maqtal se palat kar aa jao
maa zulfein sawaare qasim
haye qasim mere raaj...
waari bhi hua nazron se niha
aur tum bhi sidhaare suye jina
ye umr meri guzregi bhala
ab kiske sahare qasim
haye qasim mere raaj...
tu teen dino ka pyasa hai
kausar mein talatum barpa hai
teri pyaas pa girya girya hai
tasneem ke dhaare qasim
haye qasim mere raaj...
ki fauje jafa ne kaisi jafa
jeete ji tujhe pamaal kiya
yun dasht mein tum bikhre jaise
quran ke paare qasim
haye qasim mere raaj...
is soone soone jangal se
tum karbobala ke maqtal se
ay laal palat kar aajao
maa tumko pukaare qasim
haye qasim mere raaj...
rote thay haram phat'te thay jigar
hota tha bapa us dam mehshar
jab kehti thi ye dukhiya ro kar
mere aankh ke taare qasim
haye qasim mere raaj...
khairaat pe shahe zeeshan ki
rakh laaj bilal o irfan ki
mehshar mein khade hai ye dono
bas tere sahaare qasim
haye qasim mere raaj...