Kanz e Aza

Shaam Walon se

A noha for Darbaar e Shaam, written by Bilal Kazmi. Lyrics in Roman Urdu.

shaam waalon se ye zainab ne kaha ro ro kar

mai mohamed ki nawasi hoo na cheeno chadar


abhi kuch dayr mein aayenge najaf se baba

sar khule jaaungi kis tarha mai pesh e hyder

shaam waalon se ye...


taaziyano ki saza mujhpe badha do lekin

mere bhai ke kate sar ko na maaro pathar

shaam waalon se ye...


ek bemaar ko kab khaak pe neend aati hai

zaalimon mere bathije ka na cheeno bistar

shaam waalon se ye...


kaun ab mujhse dilayega tumhe ye bunde

shimr kehta tha sakina ko dikha kar gauhar

shaam waalon se ye...


kal to suraj na mere paas e adab mein nikla

aaj har soo tamashayi mai hoo be-chadar

shaam waalon se ye...


ye hai mamta ki nishani na jalao isko

khelta tha isi gehware mein mera agshar

shaam waalon se ye...


ye to allah se waada hai jo khamosh hoo mai

warna ay zaalimon mai bhi hoo ali ki dukhtar

shaam waalon se ye...


baith kar padti hai zindan mein namazein wo bilal

tod di yun ghame abbas ne zainab ki kamar

shaam waalon se ye...