Kanz e Aza

sheeree'n ne kaha dekh ke sheh ka sare anwar

A noha for Darbaar e Shaam. Lyrics in Roman Urdu.

sheeree'n ne kaha dekh ke sheh ka sare anwar, sadqe gayi sheeree'n

aaqa mere kaisa ye sitam ho gaya tumpar, sadqe gayi sheeree'n

Irshaad tha aaunga mai ek roz tere paas, kar dil me na waswaas

waade ko wafa karne hai aaya sare anwar, sadqe gayi sheeree'n


humshakle nabi ki thi ziarat ki tamanna, aye syede waala

farmaaiye waari mai kahan hai ali akbar, sadqe gayi sheeree'n

ek hujre ko tha maine sawaara mere aaqa, kahiye to karu'n waa'n

guldaste chune the kayi behre ali akbar, sadqe gayi sheeree'n


daalaan me loundi ne basad shouqo tamanna, gehwaara tha daala

thi aarsu ye dil me ke jhoole ali asghar, sadqe gayi sheeree'n

dastaanaye abbas bhi tayyar hai hazrat , farmaae shafaqat

dedijiye maahe bani hashim ko bulaakar, sadqe gayi sheeree'n


sunti hu ke byaah gaya in rozo'n me qasim, dulha rahe daaem

sou jaa'n se fida dulha par aur uski dulhan par, sadqe gayi sheeree'n

dulha ke lie joda tha shahana banaaya, ba souqo tamanna

farmaaiye shahzadae qasim hai kahan par, sadqe gayi sheeree'n