Kanz e Aza

Shadi Jo Rachana

A noha for Shehzadi Sugra (s.a), written by Bilal Kazmi. Lyrics in Roman Urdu.

shadi jo rachana mere bhaiya


sunti hoon ke ab ghar hai basane ka irada

pardes mein hai byaah rachane ka irada

sughra ko kahin bhool na jaana mere bhaiya

shadi jo rachana...


sughra se zyada hai wo kunbe ko dulaari

ammu ki chaheeti hai to baba ki hai pyari

roothe jo sakina to manana mere bhaiya

shadi jo rachana...


shaukat ho ayan yusufe dil bande nabi ki

mehsoos ho shadi hai hamshakle nabi ki

is shaan se baaraat sajana mere bhaiya

shadi jo rachana...


jo dekhe usay chand sa tukda nazar aaye

asghar bhi mera nanha sa dulha nazar aaye

baysheer ko is tarha sajana mere bhaiya

shadi jo rachana...


shabbir ki jaani ho mujhe ye bhi khabar hai

tum yusuf e saani ho mujhe ye bhi khabar hai

malboos mai loongi shahana mere bhaiya

shadi jo rachana...


baaraat nazar aayegi firdaus ka naksha

ho jayega raunaq mein bhi kuch aur izaafa

dadi ko bhi jannat se bulana mere bhaiya

shadi jo rachana...


ahmed ki nishani ho to ye baat bhi sunlo

tum yusufe saani ho to ye baat bhi sunlo

laana to dulhan chand si laana mere bhaiya

shadi jo rachana...


is aalame pardes mein tum byaah racha kar

jis tarha abhi bhoole ho is tarha bhula kar

ta umr na sughra ko rulaana mere bhaiya

shadi jo rachana...


bemaar hoon kamzor hoon chayi hai nakahat

mar jaaun jo pehle to hai ye meri wasiyat

bhabi ko meri qabr pe laana mere bhaiya

shadi jo rachana...


irfan ki zaban ho ke bilal e ghame sarwar

masroof e aza rehte hai ye dono barabar

dono ko musibat se bachana mere bhaiya

shadi jo rachana...