pamaal ran mein hogaya noushahe karbala
1. aayi jo ran se qasim -e- bekas ki yeh sada
waqt madad hain aayiye ab aayiye chacha
shabbir sar ko peet ke karte the buka
paamal ran mein hogaya . . . . .
2. qasim hume bulate hain abbas hain kaha
goonji sada hussain ki tharaya aasman
akbar se roke kehte the yeh shah -e- insoja
paamal ran mein hogaya . . . . .
3. suraj pe ahle shaam ka nargha hain aye pisar
dhonde kidhar sitam ke andhere mein yeh nazar
awaaz sun rahe hain falak se yeh hum sada
paamal ran mein hogaya . . . . .
4. mausam bahar ka tha fizza kaisi chagayi
yeh zindagi ke din yeh ajal kaisi aagayi
tera baras ka sin tha abhi yeh sitam huwa
paamal ran mein hogaya . . . . .
5. maqtal ki sar zameen pe dekha yeh majra
tukde badan ke bikhra the qasim ke jabaja
abbas se yeh kehte the bhai yeh kya huwa
paamal ran mein hogaya . . . . .
6. maqtal ki gard oodh ke qasim jo sogaye
armaan zindagi ke sabhi khaak hogaye
dulhan ke lab pe tha yehi nauha basad buka
paamal ran mein hogaya . . . . .