roro sakina kehti thi amma neend nahi aati
yaad aati hain baba ki amma neend nahi aati
1. shaam-e-ghareeba aayi hain dard ke manzar layi hai
kaisi qayamat chahi hain charo taraf tanhaai hai
ek-ek lamha hai bhari amma neend nahi aati
2. aag hai kurte mein amma kano se hain khoon rawan
chaya hai ankhon mein dhuwa bolo mere aamu hain kaha
mere gale mein hain rassi amma neend nahi aati
3. jab bhi tamache khati hoon dard se chakra jati hoon
khauf se main ghabrati hoon sonch ke yeh tharrati hoon
duniya meri barbaad huwi amma neend nahi aati
4. chod gaye humko baba maare gaye hain mere chacha
kaun chudane ayega dum ghutta hai ab mera
dil pa mere chalti hain churi amma neend nahi aati
5. mujh se qismat ruthi hai zindan mein khamoshi hai
yeh kaisi tareeki hai har dum rokar kehti hai
din nikla ya raat huwi amma neend nahi aati
6. baba ko jab paungi gaal apne dikhlaon gi
haal apna batlaungi seeney par sojaongi
neend hai mujh se roothi amma neend nahi aati
7. mujhko tamache hain mare gaal hai mere sujhe huwe
kaan mere zakhmi karke cheene gaye mere bundhe
roz jafa hoti hain nayi amma neend nahi aati
8. qaid mein kabtak rehna hain dukh ye kab tak sehna hai
dur watan mein behna hain kis se gham yeh kehna hai
hogi rehaai kab meri amma neend nahi aati
9. har lamha hain ranjo mehan sujha huwa hain mera dahan
zakhmi hain ab mera badan zinda mein hoti hain ghutan
koun sune rudaad meri amma neend nahi aati
10. baba mere ab ayenge zindaan se chudwayenge
seene se liptayenge hum apne ghar jayenge
sonchti rehti hoon mein yahi amma neend nahi aati
11. zakhmi lasha qasim ka akber ka zakhmi seena
khoonme bhara wo mashkiza baba ka besar lasha
manzar hai ankhon mein sabhi amma neend nahi aati
12. pyass ka hai mujh par yeh asar dhundhla gayi hai meri nazar
saans bhi lagti hai nishtar phat-ta hai sadme se jigar
hoti hai takleef badi amma neend nahi atti
13. baap ke sar se lipti huwi bain jo karti thi bachi
ahle haram rote the sabhi maut ki jab ayyi hichki
shikwe the hotoun pe yahi amma neend nahi aati
14. kaise likhe razvi-o-nazar dil pe chale kitne khanjar
kaise sunti thi maadar bali sakina jab rokar
indaan mein kehti thi yahi amma neend nahi aati