sada dete the yeh sarwar bahan zaianb khuda
hafez
karo rukhsat hume aakar bahan zainab khuda
hafez
1. nahi mohlat ke sunlo chand batein is ghadi meri
bapa hoga phir ek mehshar , bahan zainab khuda..
2.bahan meri nigahon mein andhera hi andhera hai
na laute jab se ghar akber, bahan zainab khuda..
3. bahan bas akhri khidmat ko maidan mein chali aana
bulaun jab sada dekar, bahan zainab khuda..
4. bahan zair-e-falak jab akhri sajda kareinge hum
jabeen hogi lahu mein tar, bahan zainab khuda..
5. bahan jab fatima ke laal par khanjar rawa hoga
lahu hoga har ek manzar, bahan zainab khuda..
6. pareshan tum na hona jab zameen larze falak kanpe
chalega us ghadi khanjar, bahan zainab khuda..
7. ujala doob jayega siyah andhi uthege jab
wo hoga hashr ka manzar, bahan zainab khuda..
8. bahan sham-e-ghariba ek naya mehshar bapa hoga
chinegi sar se jab chadar, bahan zainab khuda..
9. bahan us dam khayal-e-abid-e-bimar lazim hai
jalega jab nabi ka ghar, bahan zainab khuda..
10. bahan bali sakina jab hume zeedh karke royegi
sulana us ko seene par, bahan zainab khuda..
11. bahan tumko mere haq ki qasam khamosh hojana
rasan bandhe jo baazu par, bahan zainab khuda..
12.bahan bas sabr karna maqsad-e-shabbir ki khatir
phiraye jo tumhe dar dar, bahan zainab khuda..
13.bahan jab sar barehna shaam ki basti se guzrogi
rahengey hum bhi naize par. bahan zainab khuda..
14. bahan kuch manzilein hongi jaha bimar abid ko
sahara dena tum badhkar, bahan zainab khuda..
15.fareed aati rahi jab tak nazar zainab sare qaima
yeh shey kehte the mudh mudh kar, bahan zainab
khuda..