sada rahega hussain ka gham
ye shor e giryan ye shor e matam
suni hui daastan e payham
ek aah ban kar ubhar rahi hai
wo karbala ki sada e pur gham
sada rahega…
uthay jo zulm o sitam ke jhonke
sawaal ye tha ke kaun roke
hussain ibne ali ke dar par
jami hui thi nigaahe aalam
sada rahega…
badha jo hadh se ghuroor e baatil
tadap utha phir hussain ka dil
chala haram ko watan se le kar
rida e zainab banake parcham
sada rahega…
usoole fikr o amal ko moda
yazeediyat ke fasooh ko toda
har ek dewaar e zulm dha kar
bana gaya deen ka qasre mohkam
sada rahega…
jafaon ka dil hila ke utha
jo qabr e asghar bana ke utha
jawan ki mayyat pe muskurakar
badal gaya fikre nasle adam
sada rahega…
sambhal ke toke hamein zamana
guzar gaya daur e taaziyana
ba ghaur sunle jahan waale
ab is alam ke hai paasban ham
sada rahega…
na ruk saki hai na ruk sakegi
aza e mazloom kya rukegi
dilon ki har ek dhadkano se
ubhar rahi hai sadaye matam
sada rahega…