sajdaye imtiyaz hojaye
zere khanjar namaz hojaye
koi pani pila ke qaatil ko
tujhsa mehman-nawaz hojaye
sajdaye imtiyaz…
jisne khaayi ho taygh sajde may
ispe sadqe namaz hojaye
sajdaye imtiyaz…
jis jagah tere naqshe pa baithe
wo zameen sarfaraz hojaye
sajdaye imtiyaz…
ek namazi ke khoone athar se
surkh roo janamaz hojaye
sajdaye imtiyaz…
ek nazar teri ho agar maula
misle hurr sarfaraz hojaye
sajdaye imtiyaz…
khul ke karna hai matame sarwar
ye shabe gham daraaz hojaye
sajdaye imtiyaz…
dekhna tujh ko haq parasti hai
bewazoo hi namaz hojaye
sajdaye imtiyaz…
aarzoo ya ali hai mirza ki
tere dar ka ayaaz hojaye
sajdaye imtiyaz…