Kanz e Aza

Tera Ghar Hogaya

A noha written by Mirza Murtaza Ali. Lyrics in Roman Urdu.

tera ghar hogaya veerana

ay nana faryaad hai


kehti thi zainab e muztar

ay nana faryaad hai

aayi hoo bhai ko kho kar

ay nana faryaad hai


bhai ko mehman bula kar

haye haye shimr-e-sitamgar

halq pe phera hai khanjar

ay nana faryaad hai


shab ko rachi thi shaadi

subho huyi barbadi

khaakh hai dulhan ke sar par

ay nana faryaad hai


bali sakina roti thi

baap ke gham may na soti thi

mar gayi zindan may aa kar

ay nana faryaad hai


kat gaye saqqa ke baazu

beh gaya armaano ka lahoo

hogaye hum sab bechadar

ay nana faryaad hai


maare gaye qasim akbar

aun o mohamed aur asghar

ujad gaya sab ghar ka ghar

ay nana faryaad hai


asghar-e-naadan tashna dahan

maara gaya wo ghuncha dahan

teer sitam ka khaakar

ay nana faryaad hai


akbar o asghar maare gaaye

aun o mohamed maare gaye

karbobala may loote gaye

ay nana faryaad hai


aap ki ummat ne nana

itrat par wo zulm kiya

sar pe nahi thi chadar

ay nana faryaad hai


baara galay aur ek rasan

mirza tha ye sab ranj o mehan

baandhe thay rassi may kas kar

ay nana faryaad hai