ta hashr ya hussain tera naam zindabad
ay sheh saware jaana e aalam zindabad
ay na khuda e kashti e islam zindabad
paindabad saahibe samsaam zindabad
tu zindabad aur tera paigham zindabad
ta hashr ya hussain...
emaan ki laaj baade shariyat tujhi se hai
quran ki saari azmat o hurmat tujhi se hai
masjid ki shaan kaabe ki satwat tujhi se hai
saare jahan mein tanze risalat tujhi se hai
ta hashr ya hussain....
ki thi yazeediyat ne bahot kuch ye justuju
kaabe ki sar zameen pe bahade tera lahoo
haj ko badal ke umray se ay shaahe nek khoo
rakhli hai tune khana e aewaz ki aabroo
ta hashr ya hussain...
shamsheer sar pe dil mein sina teer paon mein
tune khaza se khela tha taygho ki chaon mein
marde khuda tha aaya na baatil ke dao mein
charche hai tere naam ke ye gaon gaon mein
ta hashr ya hussain...
gulzare deen ko sayncha bahattar ke khoon se
qasim ke khoon se dil e akbar ke khoon se
kaliyan nikharne lag gayi asghar ke khoon se
gulshan hara hai aale payambar ke khoon se
ta hashr ya hussain...
shabbir teri fauj ka salaar e zee hashm
unwan e fatha ban chuka jiska har ek qadam
saqqa ke haath ghaat pa garche hue qalam
lehra raha hai aaj bhi abbas ka alam
ta hashr ya hussain...
haathon mein neemche liye zainab ke laadle
dono nihaal nikle hai sar karne marhale
aada e deen ki lene khabar ghaat par chale
zehra ki laadli ki hai ye godh ke palay
ta hashr ya hussain...
ran mein dehekti rayt pe wo asr ki namaz
meraj e bandagi ka bataya ye tune aaj
kuch kar saki na kufro zalalat ki saaz aaj
sar deke deen e haq ko kiya tune sarfaraz
ta hashr ya hussain...
kismat ki hai ye baat jo teri wila mili
mirza e benawa ko rahe karbala mili
isiyan ke is mareez ko khaake shifa mili
milne se tere kashti e aale aba mili
ta hashr ya hussain...