Tadap ke maa ne yeh Kaha
Mere Hussian Mere Hussian
Sada e Fatima ye thi
Falak se ayi maa teri
Laraz rahe hai Ambiya meri jaan
Kisi ka seena chid gaya
Gale pa teer chal gaya
Gazb ka tha Wo mareka meri jaan
Haram ki budoo bash mein
Wo pani ki talash mein
Khata ke bazu sogaya meri jaan
Wo Qanjare laien chala
Tadapta qakh par raha
Tujhe na pani milsaka meri jaan
Badan se sar huwa juda
Laraz uthe hai Mustafa
Qarar mera chin gaya meri jaan
Kabhi na dekha yeh suna
Mila na-abhi kabar ki jaan
Tujhe kafan bhi Na mila mere jaan
Wo Aayi Sham-e-gham liye
Lute Haram Huzoor ke
Chine Gouhar tho dil jala meri jaan
Sata -e- Ummate Nabi
Aaye jaan -e- Fatima Ali
Wo Naiza dil pa ek chala meri jaan
Na raas aaya karbala
Jo saat aaya qafila
Bala ke dasth me luta meri jaan
Iqbal Abedi suno
Likho tho nouha bas likho
Rula raha hai akbara mere jaan